Chand Lamhe Visal-mausam Ke

dard ki ek be-karan rut hai

habs mausam ka raj har jaanib

chand lamhe visal-mausam ke

wo nashili ghazal si aankhen

koi KHushbu siyah zulfon ki

lams phir wo hinai hathon ka

koi surKHi wafa ke paikar ki

phir se shirin-dahan se baaten hon

dil ki duniya udas hai kitni

koi manzar bhi ab nahin bhata

chand lamhe visal-mausam ke

(656) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Lamhe Visal-mausam Ke In English By Famous Poet Asif Shafi. Chand Lamhe Visal-mausam Ke is written by Asif Shafi. Read famous Poem Chand Lamhe Visal-mausam Ke for youth and Student by Asif Shafi. Free Download Chand Lamhe Visal-mausam Ke in PDF.