Dam-e-ulfat Mein Phansa Dil Hae Dil Afsos Dil

dam-e-ulfat mein phansa dil hae dil afsos dil

ab na howega riha dil hae dil afsos dil

wo use kya kya kahe aur ye sarakta hi nahin

ho gaya yun be-haya dil hae dil afsos dil

milte hi zalim ne mujh ko chhoD kar yun yak-ba-yak

ho gaya mujh se juda dil hae dil afsos dil

aah-o-nale ki sada bhi ab to aane se rahi

mar gaya shayad mera dil hae dil afsos dil

kis tarah us se banegi hai bahut wo bewafa

aur mera hai ba-wafa dil hae dil afsos dil

main ne kitna dil ko samjhaya ki ab bhi ishq se

baz aa dil baz aa dil hae dil afsos dil

so na mana dil ne aur saude mein aaKHir ishq ke

yun diwana ho gaya dil hae dil afsos dil

chhoD kar mere tain aur pas zalim ke rahe

aur sahe jaur-o-jafa dil hae dil afsos dil

phir to 'asif' ghair se kis baat ki kije ummid

jab ki apna de dagha dil hae dil afsos dil

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dam-e-ulfat Mein Phansa Dil Hae Dil Afsos Dil In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Dam-e-ulfat Mein Phansa Dil Hae Dil Afsos Dil is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Dam-e-ulfat Mein Phansa Dil Hae Dil Afsos Dil for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Dam-e-ulfat Mein Phansa Dil Hae Dil Afsos Dil in PDF.