Dil Diya Ji Diya KHafa Na Kiya

dil diya ji diya KHafa na kiya

bewafa tujh se se main ne kya na kiya

gham-e-duri ko teri dekh ke yar

aaj tak jaan se juda na kiya

faeda kya hai ab bigaDne ka

kaun tha jis se tu mila na kiya

ye hamin the ki in jafaon par

phir kabhi tujh sati gila na kiya

kaun si shab thi hijr ki 'asif'

ki ye dil shama san jala na kiya

(677) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Diya Ji Diya KHafa Na Kiya In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Dil Diya Ji Diya KHafa Na Kiya is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Dil Diya Ji Diya KHafa Na Kiya for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Dil Diya Ji Diya KHafa Na Kiya in PDF.