Jis Dam Tere Kuche Se Hum Aan Nikalte Hain

jis dam tere kuche se hum aan nikalte hain

har gam pe dahshat se be-jaan nikalte hain

ye aan hai ai yaro ya nok hai barchhi ki

ya sine se tiron ke paikan nikalte hain

rindon ne kahin un ki KHidmat main be-adabi ki

jo shaiKH ji majlis se sarsan nikalte hain

ye tifl-e-sarishk apne aisa ho miyan bahken

be-tarah ye ab ghar se nadan nikalte hain

ye zid hai jinhen yaro aa jaen jo mashhad par

to tham ke hathon se daman nikalte hain

kis tarah ghubar un tak pahunchega bhala apna

'asif' jo kabhi ghar se KHuban nikalte hain

(777) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Jis Dam Tere Kuche Se Hum Aan Nikalte Hain In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Jis Dam Tere Kuche Se Hum Aan Nikalte Hain is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Jis Dam Tere Kuche Se Hum Aan Nikalte Hain for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Jis Dam Tere Kuche Se Hum Aan Nikalte Hain in PDF.