Puchhte Kya Ho Mere Tum Dil-e-diwane Se

puchhte kya ho mere tum dil-e-diwane se

ishq ke ramz ko puchho kisi farzane se

ji nikal jawega zalim mera ab jaane se

yan na aana hi bhala tha tere is aane se

rose ke dukh se chhaTa raat ke jalne se raha

dosti shama ne ki dosto parwane se

dil baja lawega jo kuchh ise kije irshad

ye to bahar nahin kuchh aap ke farmane se

yun yakayak jo hue us ke jigar ke TukDe

nahin malum kaha zulf ne kya shane se

zabt lazim hai jab hi tak ki na ho aankh mein ashk

ab to bhar aaya hai dil ashk ke bhar aane se

ro le dil khol ke tu is ghaDi 'asif' apna

nahin ghuT jawega dam ashk ke pi jaane se

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Puchhte Kya Ho Mere Tum Dil-e-diwane Se In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Puchhte Kya Ho Mere Tum Dil-e-diwane Se is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Puchhte Kya Ho Mere Tum Dil-e-diwane Se for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Puchhte Kya Ho Mere Tum Dil-e-diwane Se in PDF.