Sine Mein Dagh Hai Tapish-e-intizar Ka

sine mein dagh hai tapish-e-intizar ka

ab kya karun ilaj dil-e-dagh-dar ka

us se mujhe milao ki marta hun hijr mein

bais hai zindagi ka meri wasl yar ka

sayyaad ab to chhoD de aati hai fasl-e-gul

dekhunga hae kyun ki tamasha bahaar ka

shayad tumhaare din mein hai ai dilbaro rawa

dil chhin lena aashiq sina-figar ka

shabnam nahin hai barg ke upar chaman ke bich

'asif' gira hai ashk kisi be-qarar ka

(986) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sine Mein Dagh Hai Tapish-e-intizar Ka In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Sine Mein Dagh Hai Tapish-e-intizar Ka is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Sine Mein Dagh Hai Tapish-e-intizar Ka for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Sine Mein Dagh Hai Tapish-e-intizar Ka in PDF.