Talib Ho Wahan Aan Ke Kya Koi Sanam Ka

talib ho wahan aan ke kya koi sanam ka

ho jis ko bharosa na jahan ek bhi dam ka

kya main tujhe ahwal dil-o-jaan ka bataun

ab main to irada kiye baiTha hun adam ka

ki lakhon hain tadbir miyan hum ne wo lekin

chhuTa na ye dil bandha hua zulf ke KHam ka

ya wasl ho ya maut koi tarah to howe

kab tak rahun pamal main is dard-o-alam ka

jalne na diya aatish-e-gham se jigar-o-dil

kya kya kahun ehsan main is dida-e-nam ka

aaya jo nasha mai ka to shab aankh mein us ki

sau rang se bad-masti ka rang aan ke chamka

wasl us ka mayassar nahin sach kahta hai 'asif'

kyun apne tain rakhta hai masruf tu gham ka

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talib Ho Wahan Aan Ke Kya Koi Sanam Ka In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Talib Ho Wahan Aan Ke Kya Koi Sanam Ka is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Talib Ho Wahan Aan Ke Kya Koi Sanam Ka for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Talib Ho Wahan Aan Ke Kya Koi Sanam Ka in PDF.