Ghar Ko Kaisa Bhi Tum Saja Rakhna

ghar ko kaisa bhi tum saja rakhna

kahin gham ka bhi daKHila rakhna

gar kisi ko samajhna apna tum

dhoka khane ka hausla rakhna

itni qurbat kisi se mat rakkho

kuchh zaruri hai fasla rakhna

in ki har baat miThi hoti hai

jhuTi baaton ka mat gila rakhna

zindagi ek bar milti hai

us ko jine ka hausla rakhna

na-umidi ko kufr kahte hain

rab se ummid 'asifa' rakhna

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Ko Kaisa Bhi Tum Saja Rakhna In English By Famous Poet Asifa Zamani. Ghar Ko Kaisa Bhi Tum Saja Rakhna is written by Asifa Zamani. Read famous Poem Ghar Ko Kaisa Bhi Tum Saja Rakhna for youth and Student by Asifa Zamani. Free Download Ghar Ko Kaisa Bhi Tum Saja Rakhna in PDF.