Banai Hai Teri Taswir Maine Darte Hue

banai hai teri taswir main ne Darte hue

laraz raha tha mera hath rang bharte hue

main inhimak mein ye kis maqam tak pahuncha

tujhe hi bhul gaya tujh ko yaad karte hue

nizam-e-kun ke sabab intishaar hai marbut

ye kaenat simaTti bhi hai bikharte hue

kahin kahin to zamin aasman se unchi hai

ye raaz mujh pe khula siDhiyan utarte hue

hamein ye waqt Daraata kuchh is tarah bhi hai

Thahar na jae kahin hadsa guzarte hue

kuchh e'tibar nahin agli nasl par in ko

wasiyaten nahin karte ye log marte hue

har ek zarb to hoti nahin ayan 'asim'

hazar naqsh hue mundamil ubharte hue

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Banai Hai Teri Taswir Maine Darte Hue In English By Famous Poet Asim Wasti. Banai Hai Teri Taswir Maine Darte Hue is written by Asim Wasti. Read famous Poem Banai Hai Teri Taswir Maine Darte Hue for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Banai Hai Teri Taswir Maine Darte Hue in PDF.