Daman-e-gul Mein Kahin Khaar Chhupa Dekhte Hain

daman-e-gul mein kahin KHar chhupa dekhte hain

aap achchha nahin karte ki bura dekhte hain

hum se wo puchh rahe hain ki kahan hai aur hum

jis taraf aankh uThate hain KHuda dekhte hain

kuchh nahin hai ki jo hai wo bhi nahin hai maujud

hum jo yun mahw-e-tamasha hain to kya dekhte hain

log kahte hain ki wo shaKHs hai KHushbu jaisa

sath shayad use le aae hawa dekhte hain

zawiya dhup ne kuchh aisa banaya hai ki hum

sae ko jism ki jumbish se juda dekhte hain

is qadar tazgi rakhi hai nazar mein hamne

koi manzar ho purana to naya dekhte hain

ab kahin shahr mein 'asim' hai na 'ghaalib' koi

kis ke ghar jae ye sailab-e-bala dekhte hain

(678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daman-e-gul Mein Kahin Khaar Chhupa Dekhte Hain In English By Famous Poet Asim Wasti. Daman-e-gul Mein Kahin Khaar Chhupa Dekhte Hain is written by Asim Wasti. Read famous Poem Daman-e-gul Mein Kahin Khaar Chhupa Dekhte Hain for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Daman-e-gul Mein Kahin Khaar Chhupa Dekhte Hain in PDF.