Meri Nazar Mera Apna Mushahida Hai Kahan

meri nazar mera apna mushahida hai kahan

jo mustaar nahin hai wo zawiya hai kahan

agar nahin tere jaisa to farq kaisa hai

agar main aks hun tera to aaina hai kahan

hui hai jis mein wazahat hamare hone ki

teri kitab mein aaKHir wo hashiya hai kahan

ye ham-safar to sabhi ajnabi se lagte hain

main jis ke sath chala tha wo qafila hai kahan

madar mein hun agar main to hai kashish kis ki

agar main KHud hi kashish hun to daera hai kahan

teri zamin pe karta raha hun mazduri

hai sukhne ko pasina muawza hai kahan

hua bahisht se be-daKHl jis ke bais main

meri zaban par us phal ka zaiqa hai kahan

azal se hai mujhe darpesh daeron ka safar

jo mustaqim hai ya rab wo rasta hai kahan

agarche is se guzar to raha hun main 'asim'

ye tajraba bhi mera apna tajraba hai kahan

(674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Nazar Mera Apna Mushahida Hai Kahan In English By Famous Poet Asim Wasti. Meri Nazar Mera Apna Mushahida Hai Kahan is written by Asim Wasti. Read famous Poem Meri Nazar Mera Apna Mushahida Hai Kahan for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Meri Nazar Mera Apna Mushahida Hai Kahan in PDF.