Maujud Jo Nahin Wahi Dekha Bana Hua

maujud jo nahin wahi dekha bana hua

aankhon mein ek sarab hai dariya bana hua

ek aur shaKHs bhi hai mere nam ka yahan

ek aur shaKHs hai mere jaisa bana hua

samjha rahe ho mujh ko mera irtiqa magar

dekha nahin hai aadmi pahla bana hua

ai inhimak-e-chashm zara ye mujhe bata

chaaron taraf zamin pe hai kya bana hua

karne laga hai tanz mere nisf aks par

mujh mein jo ek shaKHs hai pura bana hua

pahle kisi ki aankh ne pagal kiya mujhe

ab hun kisi nazar ka tamasha bana hua

khulti nahin hain tujh pe hi uryaniyan teri

'asim' tera libas hai achchha bana hua

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maujud Jo Nahin Wahi Dekha Bana Hua In English By Famous Poet Asim Wasti. Maujud Jo Nahin Wahi Dekha Bana Hua is written by Asim Wasti. Read famous Poem Maujud Jo Nahin Wahi Dekha Bana Hua for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Maujud Jo Nahin Wahi Dekha Bana Hua in PDF.