Mana Kisi Zalim Ki Himayat Nahin Karte

mana kisi zalim ki himayat nahin karte

hum log magar khul ke baghawat nahin karte

karte hain musalsal mere iman pe tanqid

KHud apne aqidon ki wazahat nahin karte

kuchh wo bhi tabiat ka sukhi aisa nahin hai

kuchh hum bhi mohabbat mein qanaat nahin karte

jo zaKHm diye aap ne mahfuz hain ab tak

aadat hai amanat mein KHayanat nahin karte

kyun in ko mila mansab-e-afzaish-e-giti

ye log to miTTi se mohabbat nahin karte

kuchh aisi baghawat hai tabiat mein hamari

jis baat ki hoti hai ijazat nahin karte

tanzim ka ye haal hai is shahr mein 'asim'

be-saKHta bachche bhi shararat nahin karte

(1586) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mana Kisi Zalim Ki Himayat Nahin Karte In English By Famous Poet Asim Wasti. Mana Kisi Zalim Ki Himayat Nahin Karte is written by Asim Wasti. Read famous Poem Mana Kisi Zalim Ki Himayat Nahin Karte for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Mana Kisi Zalim Ki Himayat Nahin Karte in PDF.