Makan Se Dur Kahin La-makan Se Hota Hai

makan se dur kahin la-makan se hota hai

safar shuru yaqin ka guman se hota hai

wahin kahin nazar aata hai aap ka chehra

tulu chand falak par jahan se hota hai

hum apne bagh ke phulon ko noch Dalte hain

jab iKHtilaf koi baghban se hota hai

mujhe KHabar hi nahin thi ki ishq ka aaghaz

ab ibtida se nahin darmiyan se hota hai

uruj par hai chaman mein bahaar ka mausam

safar shuru KHizan ka yahan se hota hai

zawal-e-mausam-e-KHush-rang ka gila 'asim'

zamin se to nahin aasman se hota hai

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Makan Se Dur Kahin La-makan Se Hota Hai In English By Famous Poet Asim Wasti. Makan Se Dur Kahin La-makan Se Hota Hai is written by Asim Wasti. Read famous Poem Makan Se Dur Kahin La-makan Se Hota Hai for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Makan Se Dur Kahin La-makan Se Hota Hai in PDF.