Kahan Talash Mein Jaun Ki Justuju Tu Hai

kahan talash mein jaun ki justuju tu hai

kahin nahin hai yahan aur chaar-su tu hai

mahaz-e-jang pe khilte nahin hain hath mere

main kya karun ki muqabil mera adu tu hai

badal gaya hai zamana badal gai duniya

na ab wo main hun meri jaan na ab wo tu tu hai

kisi ne uTh ke yahan se kahin nahin jaana

saji hai bazm ki mauzu-e-guftugu tu hai

main dekhta hun kise kuchh mujhe nahin malum

koi bhi samne aa jae hu-ba-hu tu hai

tamam aalam-e-sar-mast hai teri ijad

ye mai-kada hai tera sahib-e-subu tu hai

teri talab ne rakha inhimak pakiza

namaz-e-ishq tere waste wazu tu hai

mera gunah bhi shaista-e-tawakkul hai

ki tu KHuda hai mera aur KHair-KHu tu hai

ye aaine mein koi aur shaKHs hai 'asim'

ghalat KHayal hai tera ki ru-ba-ru tu hai

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Talash Mein Jaun Ki Justuju Tu Hai In English By Famous Poet Asim Wasti. Kahan Talash Mein Jaun Ki Justuju Tu Hai is written by Asim Wasti. Read famous Poem Kahan Talash Mein Jaun Ki Justuju Tu Hai for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Kahan Talash Mein Jaun Ki Justuju Tu Hai in PDF.