HonTon Ko Phul Aankh Ko Baada Nahin Kaha

honTon ko phul aankh ko baada nahin kaha

tujhko teri ada se ziyaada nahin kaha

barta gaya hun sirf kisi sair ki tarah

tune mujhe safar ka irada nahin kaha

kahta to hun tujhe main gul-e-KHush-numa magar

KHush rang mausamon ka labaada nahin kaha

rahte hain sirf tang-nazar log jis jagah

us shahr-e-be-karan ko kushada nahin kaha

bandha har ek KHayal baDi sadgi ke sath

lekin koi KHayal bhi sada nahin kaha

meri bisat par to sabhi baadshah hain

maine kabhi kisi ko piyaada nahin kaha

wo aasman mizaj musafir hun aaj tak

maine teri zamin ko jada nahin kaha

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

HonTon Ko Phul Aankh Ko Baada Nahin Kaha In English By Famous Poet Asim Wasti. HonTon Ko Phul Aankh Ko Baada Nahin Kaha is written by Asim Wasti. Read famous Poem HonTon Ko Phul Aankh Ko Baada Nahin Kaha for youth and Student by Asim Wasti. Free Download HonTon Ko Phul Aankh Ko Baada Nahin Kaha in PDF.