Har Taraf Hadd-e-nazar Tak Silsila Pani Ka Hai

har taraf hadd-e-nazar tak silsila pani ka hai

kya kahen sahil se koi rabta pani ka hai

KHushk rut mein is jagah hum ne banaya tha makan

ye nahin malum tha ye rasta pani ka hai

aag si garmi agar tere badan mein hai to ho

dekh mere KHun mein bhi walwala pani ka hai

ek sohni hi nahin Dubi meri basti mein tu

har mohabbat ka muqaddar saneha pani ka hai

be-gunah bhi Dub jate hain gunahgaron ke sath

shahr ke qanun mein ye zabta pani ka hai

jaanta hun kyun tumhaare bagh mein khilte hain phul

baat mehnat ki nahin ye mojaza pani ka hai

ashk bahte bhi nahin 'asim' Thaharte bhi nahin

kya masafat hai ye kaisa qafila pani ka hai

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Taraf Hadd-e-nazar Tak Silsila Pani Ka Hai In English By Famous Poet Asim Wasti. Har Taraf Hadd-e-nazar Tak Silsila Pani Ka Hai is written by Asim Wasti. Read famous Poem Har Taraf Hadd-e-nazar Tak Silsila Pani Ka Hai for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Har Taraf Hadd-e-nazar Tak Silsila Pani Ka Hai in PDF.