Hai Nind Abhi Aankh Mein Pal Bhar Mein Nahin Hai

hai nind abhi aankh mein pal bhar mein nahin hai

karwaT koi aaram ki bistar mein nahin hai

sahil pe jala de jo palaTne ka wasila

ab aisa jiyala mere lashkar mein nahin hai

phailaw hua hai mere idrak se paida

wusat mere andar hai samundar mein nahin hai

sikha na duaon mein qanaat ka saliqa

wo mang raha hun jo muqaddar mein nahin hai

rakh us pe nazar jo kahin zahir mein hai pinhan

wo bhi to kabhi dekh jo manzar mein nahin hai

yun dhup ne ab zawiya badla hai ki 'asim'

saya bhi mera mere barabar mein nahin hai

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Nind Abhi Aankh Mein Pal Bhar Mein Nahin Hai In English By Famous Poet Asim Wasti. Hai Nind Abhi Aankh Mein Pal Bhar Mein Nahin Hai is written by Asim Wasti. Read famous Poem Hai Nind Abhi Aankh Mein Pal Bhar Mein Nahin Hai for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Hai Nind Abhi Aankh Mein Pal Bhar Mein Nahin Hai in PDF.