Har ShaKHs Is Hujum Mein Tanha Dikhai De

har shaKHs is hujum mein tanha dikhai de

duniya bhi ek ajib tamasha dikhai de

ek umr qat-e-wadi-e-shab mein guzar gai

ab to kahin sahar ka ujala dikhai de

ai mauja-e-sarab-e-tamanna sitam na kar

sahra hi samne hai to sahra dikhai de

main bhi chala to pyas bujhane ko tha magar

sahil ko dekhta hun ki pyasa dikhai de

alfaz KHatm hon to mile rishta-e-KHayal

ye gard baiTh jae to rasta dikhai de

kaun apna aks dekh ke hairan palaT gaya

chehra ye mauj mauj mein kis ka dikhai de

tu munkir-e-wafa hai tujhe kya dikhaun dil

gham shoala-e-nihan hai bhala kya dikhai de

har shab dar-e-KHayal pe Thahre wo ek chap

har shab fasil-e-dil pe wo chehra dikhai de

lab-bastagi se aur khile ghuncha-e-sada

wo chup rahe to aur bhi goya dikhai de

'aslam' gharib-e-shahr-e-suKHan hai kabhi milen

kahte hain aadmi to bhala sa dikhai de

(1170) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har ShaKHs Is Hujum Mein Tanha Dikhai De In English By Famous Poet Aslam Ansari. Har ShaKHs Is Hujum Mein Tanha Dikhai De is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Har ShaKHs Is Hujum Mein Tanha Dikhai De for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Har ShaKHs Is Hujum Mein Tanha Dikhai De in PDF.