Kuchh To Gham-KHana-e-hasti Mein Ujala Hota

kuchh to gham-KHana-e-hasti mein ujala hota

chand chamka hai to ehsas bhi chamka hota

aaina-KHana-e-alam mein khaDa sochta hun

main na hota to yahan kaun sa chehra hota

KHud bhi gum ho gae hum apni sadaon ki tarah

dasht-e-furqat mein tujhe yun na pukara hota

husn-e-izhaar ne ranai ata ki gham ko

gul agar rang na hota to sharara hota

hum bhi ehsas ki taswir bana sakte the

kash hum pe kabhi izhaar ka dar wa hota

fursat-e-shauq na di karb-e-wafa ne rona

koi eajaz to hum ne bhi dikhaya hota

hum ko pahchan ki ai bazm-e-chaman-zar-e-wajud

hum na hote to tujhe kis ne sanwara hota

ek surat se hua naqsh-e-do-alam ko farogh

aaina TuT na jata to tamasha hota

hum ne har KHwab ko tabir ata ki 'aslam'

warna mumkin tha ki har naqsh adhura hota

(849) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh To Gham-KHana-e-hasti Mein Ujala Hota In English By Famous Poet Aslam Ansari. Kuchh To Gham-KHana-e-hasti Mein Ujala Hota is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Kuchh To Gham-KHana-e-hasti Mein Ujala Hota for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Kuchh To Gham-KHana-e-hasti Mein Ujala Hota in PDF.