Laraz Laraz Ke Dil-e-na-tawan Thahar Hi Na Jae

laraz laraz ke dil-e-na-tawan Thahar hi na jae

firaq-e-saz kahin ruh-e-naghma mar hi na jae

utar le kisi shishe mein saat-e-naghma

sada-e-qafila-e-gul kahin bikhar hi na jae

suna bhi de kisi gul ko fusun-e-tanhai

rah-e-KHayal se ye karwan guzar hi na jae

hai ek qulzum-e-KHun qarya-e-junun se udhar

yahan jo aae koi us ki phir KHabar hi na jae

kisi ko mohlat-e-hasti bhi de gham-e-jaanan

ye kya ki aae koi to palaT ke ghar hi na jae

wo KHush-mizaj hai us ko alam se kya nisbat

suna na ishq ka gham, ishq se wo Dar hi na jae

nigah-e-yar, gham-e-jaan-gusil ka kya hoga

tere karam se nasib-e-wafa sanwar hi na jae

baha de aaj kuchh aansu ki phir ghanimat hain

chaDha hai aaj jo dariya wo kal utar hi na jae

baja ki jaan se guzarna bahut kaThin hai magar

tere nisar koi aisa kaam kar hi na jae

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laraz Laraz Ke Dil-e-na-tawan Thahar Hi Na Jae In English By Famous Poet Aslam Ansari. Laraz Laraz Ke Dil-e-na-tawan Thahar Hi Na Jae is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Laraz Laraz Ke Dil-e-na-tawan Thahar Hi Na Jae for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Laraz Laraz Ke Dil-e-na-tawan Thahar Hi Na Jae in PDF.