Maine Roka Bhi Nahin Aur Wo Thahra Bhi Nahin

main ne roka bhi nahin aur wo Thahra bhi nahin

hadisa kya tha jise dil ne bhulaya bhi nahin

jaane walon ko kahan rok saka hai koi

tum chale ho to koi rokne wala bhi nahin

kaun sa moD hai kyun panw pakaDti hai zamin

us ki basti bhi nahin koi pukara bhi nahin

be-niyazi se sabhi qarya-e-jaan se guzre

dekhta koi nahin hai ki tamasha bhi nahin

wo to sadiyon ka safar kar ke yahan pahuncha tha

tu ne munh pher ke jis shaKHs ko dekha bhi nahin

kis ko nairangi-e-ayyam ki surat dikhlaen

rang uDta bhi nahin naqsh Thaharta bhi nahin

ya hamin ko na mila us ki haqiqat ka suragh

ya sar-e-parda-e-alam mein koi tha bhi nahin

(2508) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Roka Bhi Nahin Aur Wo Thahra Bhi Nahin In English By Famous Poet Aslam Ansari. Maine Roka Bhi Nahin Aur Wo Thahra Bhi Nahin is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Maine Roka Bhi Nahin Aur Wo Thahra Bhi Nahin for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Maine Roka Bhi Nahin Aur Wo Thahra Bhi Nahin in PDF.