Mujhe To Ye Bhi Fareb-e-hawas Lagta Hai

mujhe to ye bhi fareb-e-hawas lagta hai

wagarna kaun andheron mein sath chalta hai

bikhar chuki jaras-e-karwan-e-gul ki sada

ab us ke baad to wamandgi ka waqfa hai

jo dekhiye to sabhi karwan mein shamil hain

jo sochiye to safar mein har ek tanha hai

kise KHabar ki ye duri ka bhed kiya shai hai

qadam uThao to rasta bhi sath chalta hai

ubhar rahe hain jo manzar fareb-e-manzar hain

jo khul raha hai daricha to wahm apna hai

talab to kar kise malum kaamgar bhi ho

zamana aib-o-hunar ab kahan parakhta hai

teri sada hai ki zulmat mein raushni ki lakir

tera badan hai ki naghmon ka dil dhaDakta hai

udasiyon ko na chhune de phul sa paikar

abhi kuchh aur tujhe ahl-e-gham pe hansna hai

meri wafa pe bhi ai dost e'tibar na kar

mujhe bhi teri tarah sab se pyar karna hai

ye puchhna hai ki ghairon se kiya mila tujh ko

teri jafa ki shikayat to kaun karta hai

chaman chaman hai agar gul-fishan to kya kije

hamein to apne KHarabe ko hi palaTna hai

ye ek chap jo barson mein sun raha hun main

koi to hai jo yahan aa ke luT jata hai

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe To Ye Bhi Fareb-e-hawas Lagta Hai In English By Famous Poet Aslam Ansari. Mujhe To Ye Bhi Fareb-e-hawas Lagta Hai is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Mujhe To Ye Bhi Fareb-e-hawas Lagta Hai for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Mujhe To Ye Bhi Fareb-e-hawas Lagta Hai in PDF.