Kabhi Aisa Tamawwuj Tumne Dekha Hai

kabhi aisa tamawwuj tum ne dekha hai

kabhi jazbaat ka aisa tamawwuj tum ne dekha hai

ki sine mein bhanwar paDte hon tishna aarzuon ke

magar un ko miyan-e-mauj rasta bhi na milta ho

kinare tak rasai ka ishaara bhi na milta ho

jab aisa ho to har chashme se dhaare phuT bahte hain

wo sang o gil ke pushte hon ki dariya ke kinare

phuT bahte hain

wahi dhaare magar un saebanon ko Dubote hain

ki jin ke niche baiTh kar kuchh chaak-daman log

ashkon aur tufanon ke moti bhi pirote hain

(940) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Aisa Tamawwuj Tumne Dekha Hai In English By Famous Poet Aslam Ansari. Kabhi Aisa Tamawwuj Tumne Dekha Hai is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Kabhi Aisa Tamawwuj Tumne Dekha Hai for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Kabhi Aisa Tamawwuj Tumne Dekha Hai in PDF.