Faqat Harf-e-tamanna Kya Hai

sham raushan thi sunahri thi

magar utri chali aati thi

zina zina

aa ke phir ruk si gai

shab ki munDeron ke qarin

ek sitara bhi kahin sath hi jhuk aaya tha

jaise wo chhune ko tha kanon ke baale us ke

gesuon ko bhi ki the ruKH ke hawale us ke

kuhniyan Teke hue ek dhaDakti hui diwar pe wo

khilkhilate hue kuchh mujh se kahe jati thi

us ka aahang-e-suKHan munfarid lahn-e-kalam

zamzame phuTte the jis se shagufon ki tarah

jhil pe panchhi koi pankh sanware jaise

sur ki lahron pe koi dil ko pukare jaise

sanwle chehre pe wo kanon ke baale ki damak

naz-e-be-ja bhi na tha ruKH pe tfaKHur ki jhalak

itni pur-nur thin wo aankhen ki guman hota tha

jaise KHurshid abhi Dub ke ubhrega unhin aankhon se

lekin is sham un aankhon se achanak TuTe

do sitare jo larazte rahe ta-der larazte hi rahe

jaise kahte hon ki is sham-e-gurezan ka bharosa kya hai

dil na chahe to faqat harf-e-tamanna kiya hai

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faqat Harf-e-tamanna Kya Hai In English By Famous Poet Aslam Ansari. Faqat Harf-e-tamanna Kya Hai is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Faqat Harf-e-tamanna Kya Hai for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Faqat Harf-e-tamanna Kya Hai in PDF.