Jagmagati KHwahishon Ka Nur Phaila Raat Bhar

jagmagati KHwahishon ka nur phaila raat bhar

sehn-e-dil mein wo gul-e-mahtab bikhra raat bhar

ek bhula waqia jab dafatan yaad aa gaya

aatish-e-zauq-e-talab ne phir jalaya raat bhar

doston ke sath din mein baiTh kar hansta raha

apne kamre mein wo ja kar KHub roya raat bhar

nind ke sahra mein pani ki tarah gum ho gaya

main ne us ko KHwab mein har samt DhunDa raat bhar

dhup ke baadal baras kar ja chuke the aur main

oDh kar shabnam ki chadar chhat pe soya raat bhar

nind ki komal fasilen aandhiyon mein bah gain

main ne apne KHwab ki lashon ko Dhoya raat bhar

narm bistar par shikan ki kirchiyan bikhri rahin

main ne 'aslam' ek ajab sa KHwab dekha raat bhar

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jagmagati KHwahishon Ka Nur Phaila Raat Bhar In English By Famous Poet Aslam Azad. Jagmagati KHwahishon Ka Nur Phaila Raat Bhar is written by Aslam Azad. Read famous Poem Jagmagati KHwahishon Ka Nur Phaila Raat Bhar for youth and Student by Aslam Azad. Free Download Jagmagati KHwahishon Ka Nur Phaila Raat Bhar in PDF.