Har Su Hai Tariki Chhai Tum Bhi Chup Aur Hum Bhi Chup

har su hai tariki chhai tum bhi chup aur hum bhi chup

kis ne aisi shama jalai tum bhi chup aur hum bhi chup

kis jaanib hai apni manzil dorahe par aa pahunche

kis ne aisi rah batai tum bhi chup aur hum bhi chup

dasht-e-tapan mein jaane kab se dil ne di hain aawazen

koi bhi aawaz na aai tum bhi chup aur hum bhi chup

rah kisi ki takte takte tare bhi ab rakh hue

subh ki dewi bhi muskai tum bhi chup aur hum bhi chup

dard ke be-payan sahra mein dur talak hai sannaTa

zaKHm-e-dil ne li angDai tum bhi chup aur hum bhi chup

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Su Hai Tariki Chhai Tum Bhi Chup Aur Hum Bhi Chup In English By Famous Poet Aslam Azad. Har Su Hai Tariki Chhai Tum Bhi Chup Aur Hum Bhi Chup is written by Aslam Azad. Read famous Poem Har Su Hai Tariki Chhai Tum Bhi Chup Aur Hum Bhi Chup for youth and Student by Aslam Azad. Free Download Har Su Hai Tariki Chhai Tum Bhi Chup Aur Hum Bhi Chup in PDF.