Hamari Yaad Unhen Aa Gai To Kya Hoga

hamari yaad unhen aa gai to kya hoga

ghaTa idhar ki udhar chha gai to kya hoga

abhi to bazm mein qaem hai do dilon ka bharam

nazar nazar se jo Takra gai to kya hoga

dhaDak raha hai sar-e-sham hi se dil kam-baKHt

visal-e-yar ki subh aa gai to kya hoga

ye sochta hun ki dil ki udas galiyon se

tumhaari yaad bhi katra gai to kya hoga

surur aa gaya rindon ko dekhte hi subu

jo mai-kade pe ghaTa chha gai to kya hoga

wo baat jis se dhuan uTh raha hai sine se

wo baat lab pe agar aa gai to kya hoga

wafa ka dam na bharo dosto tum 'aslam' se

tumhein jo waqt pe jhuTla gai to kya hoga

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Yaad Unhen Aa Gai To Kya Hoga In English By Famous Poet Aslam Azad. Hamari Yaad Unhen Aa Gai To Kya Hoga is written by Aslam Azad. Read famous Poem Hamari Yaad Unhen Aa Gai To Kya Hoga for youth and Student by Aslam Azad. Free Download Hamari Yaad Unhen Aa Gai To Kya Hoga in PDF.