Kahin Pe Qurb Ki Lazzat Ka Iqtibas Nahin

kahin pe qurb ki lazzat ka iqtibas nahin

tere KHayal ki KHushbu bhi aas-pas nahin

hazar bar nigahon se chum kar dekha

labon pe us ke wo pahli si ab miThas nahin

saja ke botalen Table pe muntazir hon magar

qarib o dur nigahon ke wo gilas nahin

samundaron ka ye namkin pani kaise piyun

piyasa hun magar itni ziyaada pyas nahin

ye aur baat ki mujh se bichhaD ke KHush hai magar

wo kaise kah de ki main in dinon udas nahin

tumhaare kapDe kahin gard mein na aT jaen

ye KHushk patton ka bistar hai sabz ghas nahin

bujhi bujhi sahi ye dhup kam nahin 'aslam'

ab is ke baad kisi raushni ki aas nahin

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Pe Qurb Ki Lazzat Ka Iqtibas Nahin In English By Famous Poet Aslam Azad. Kahin Pe Qurb Ki Lazzat Ka Iqtibas Nahin is written by Aslam Azad. Read famous Poem Kahin Pe Qurb Ki Lazzat Ka Iqtibas Nahin for youth and Student by Aslam Azad. Free Download Kahin Pe Qurb Ki Lazzat Ka Iqtibas Nahin in PDF.