Kisht-e-dil Viran Sahi TuKHm-e-hawas Boya Nahin

kisht-e-dil viran sahi tuKHm-e-hawas boya nahin

KHwahishon ka bojh main ne aaj tak Dhoya nahin

us ki aaankhon mein bichha hai surKH tahriron ka jal

aisa lagta hai ki ek muddat se wo soya nahin

KHwab ki anjaan khiDki mein nazar aaya tha jo

zehn ne us chehra-e-manus ko khoya nahin

ek muddat par mile bhi to na milne ki tarah

is tarah KHamosh ho munh mein zaban goya nahin

main ne apni KHwahishon ka qatl KHud hi kar diya

hath KHun-alud hain in ko abhi dhoya nahin

dekh kar honTon pe mere muskurahaT ki lakir

wo samajhte hain ki 'aslam' main kabhi roya nahin

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisht-e-dil Viran Sahi TuKHm-e-hawas Boya Nahin In English By Famous Poet Aslam Azad. Kisht-e-dil Viran Sahi TuKHm-e-hawas Boya Nahin is written by Aslam Azad. Read famous Poem Kisht-e-dil Viran Sahi TuKHm-e-hawas Boya Nahin for youth and Student by Aslam Azad. Free Download Kisht-e-dil Viran Sahi TuKHm-e-hawas Boya Nahin in PDF.