AahaT

tanhai ke sahraon mein

chalte chalte

ab to meri

aankhon ki viran gali se

panw ke chhaale

bah nikle hain

ek muddat se jism ki dharti

pyasi hai sukhe ke karan

jiwan ke andhiyare path par

dur tilak sannaTa sa hai

qadmon ki aahaT bhi nahin hai

(785) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

AahaT In English By Famous Poet Aslam Azad. AahaT is written by Aslam Azad. Read famous Poem AahaT for youth and Student by Aslam Azad. Free Download AahaT in PDF.