Yaadon Ka Lams Zehn Ko Chhu Kar Guzar Gaya

yaadon ka lams zehn ko chhu kar guzar gaya

nashtar sa mere jism mein jaise utar gaya

maujon ka shor mujh ko Daraata raha magar

pani mein panw rakhte hi dariya utar gaya

pairon pe har taraf hi hawaon ka raqs tha

ab sochta hun aaj wo manzar kidhar gaya

do din mein KHal-o-KHat mere tabdil ho gae

aaina dekhte hi main apne se Dar gaya

apna makan bhi tha usi moD par magar

jaane main kis KHayal mein auron ke ghar gaya

us din mera ye dil to bahut hi udas tha

shayad sukun hi ke liye dar-ba-dar gaya

main sang hun na aur wo shisha hi tha magar

'aslam' jo us ko hath lagaya bikhar gaya

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaadon Ka Lams Zehn Ko Chhu Kar Guzar Gaya In English By Famous Poet Aslam Azad. Yaadon Ka Lams Zehn Ko Chhu Kar Guzar Gaya is written by Aslam Azad. Read famous Poem Yaadon Ka Lams Zehn Ko Chhu Kar Guzar Gaya for youth and Student by Aslam Azad. Free Download Yaadon Ka Lams Zehn Ko Chhu Kar Guzar Gaya in PDF.