Libas-e-gul Mein Wo KHushbu Ke Dhyan Se Nikla

libas-e-gul mein wo KHushbu ke dhyan se nikla

mera yaqin bhi wahm-o-guman se nikla

hamare sath hi ab aandhiyan bhi chalti hain

ye tarz-e-ham-safari baadban se nikla

kuchh is tarah se bandhe hain zamin ki Dor se hum

ki KHauf-e-gum-rahi unchi uDan se nikla

naqib mein DhunDh raha tha fasil-e-shab mein magar

mera ghanim mere hi makan se nikla

ab is ke baad koi rasta na koi safar

qadam hisar-e-zaman-o-makan se nikla

ajib kashmakash-e-jabr-o-iKHtiyar rahi

gham-e-hayat isi darmiyan se nikla

nadi se pyas mili hai isi gharane ko

ki jis ke waste pani chaTan se nikla

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Libas-e-gul Mein Wo KHushbu Ke Dhyan Se Nikla In English By Famous Poet Aslam Badar. Libas-e-gul Mein Wo KHushbu Ke Dhyan Se Nikla is written by Aslam Badar. Read famous Poem Libas-e-gul Mein Wo KHushbu Ke Dhyan Se Nikla for youth and Student by Aslam Badar. Free Download Libas-e-gul Mein Wo KHushbu Ke Dhyan Se Nikla in PDF.