KHud Apni Chaal Se Na-ashna Rahe Hai Koi

KHud apni chaal se na-ashna rahe hai koi

KHirad ke shahr mein yun lapata rahe hai koi

chala to TuT gaya phail hi gaya goya

pahaD ban ke kahan tak khaDa rahe hai koi

na harf-e-nafi na chaak-e-sabaat-e-darman hai

har ek fareb ke andar chhupa rahe hai koi

khaDi hain chaaron taraf apni be-gunah sansen

sada-e-dard ke andar ghira rahe hai koi

gurez aankhen liye ja rahe ho kamre mein

junun ki ruh se kab tak bacha rahe hai koi

qadam hai jazb ki sahra hai rahguzar, qatre

huruf-e-dil ki tarah Dalta rahe hai koi

jo KHushbuon ke thapeDe badan se Takraen

to 'aslam' aise mein kab tak khaDa rahe hai koi

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Apni Chaal Se Na-ashna Rahe Hai Koi In English By Famous Poet Aslam Emadi. KHud Apni Chaal Se Na-ashna Rahe Hai Koi is written by Aslam Emadi. Read famous Poem KHud Apni Chaal Se Na-ashna Rahe Hai Koi for youth and Student by Aslam Emadi. Free Download KHud Apni Chaal Se Na-ashna Rahe Hai Koi in PDF.