Kisi Ki Yaad Ka Saya Tha Ya Ki Jhonka Tha

kisi ki yaad ka saya tha ya ki jhonka tha

mere qarib se ho kar koi to guzra tha

ajab tilism tha us shahr mein bhi ai logo

palak jhapakte hi apna jo tha paraya tha

mujhe KHabar ho jo apni to tum ko likh bhejun

abhi to DhunD raha hun wo ghar jo mera tha

kisi ne muD ke na dekha kisi ne dad na di

lahuluhan labon par mere bhi naghma tha

main bach ke jata to kis samt kis jagah ki mujhe

kahin zamin ne kahin aasman ne ghera tha

zara pukar ke dekhun na un dayaron mein

mera KHayal hai ek shaKHs mera apna tha

mahak lahu ki thi ya tere pairahan ki thi

mere badan se hayula sa ek lipTa tha

udas ghaDiyo zara ye pata to de jao

kahan gaya wo KHushi ka jo ek lamha tha

(712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ki Yaad Ka Saya Tha Ya Ki Jhonka Tha In English By Famous Poet Aslam Habeeb. Kisi Ki Yaad Ka Saya Tha Ya Ki Jhonka Tha is written by Aslam Habeeb. Read famous Poem Kisi Ki Yaad Ka Saya Tha Ya Ki Jhonka Tha for youth and Student by Aslam Habeeb. Free Download Kisi Ki Yaad Ka Saya Tha Ya Ki Jhonka Tha in PDF.