Koi Gulab Yahan Par Khila Ke Dekhte Hain

koi gulab yahan par khila ke dekhte hain

chalo KHaraba-e-jaan ko saja ke dekhte hain

jahan ko bhul ke tum ko bhula ke dekhte hain

ab apne aap ko dil se laga ke dekhte hain

bigaD gae the jise sun ke waqt ke tewar

jahan ko baat wahi phir suna ke dekhte hain

kabhi kisi ka bhi ehsan nahin liya hum ne

ab apne sar pe ye ehsan uTha ke dekhte hain

bahut dinon se koi baat kaam ki na hui

chalo falak ko zamin par bichha ke dekhte hain

nazar nazar to kai bar paDh chuke us ko

ghazal ko aaj zara gunguna ke dekhte hain

zamana hum pe bahut der hans chuka 'aslam'

chalo ab us ki hansi bhi uDa ke dekhte hain

(625) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Gulab Yahan Par Khila Ke Dekhte Hain In English By Famous Poet Aslam Habeeb. Koi Gulab Yahan Par Khila Ke Dekhte Hain is written by Aslam Habeeb. Read famous Poem Koi Gulab Yahan Par Khila Ke Dekhte Hain for youth and Student by Aslam Habeeb. Free Download Koi Gulab Yahan Par Khila Ke Dekhte Hain in PDF.