Dayar-e-hijr Mein KHud Ko To Akasr Bhul Jata Hun

dayar-e-hijr mein KHud ko to akasr bhul jata hun

tujhe bhi main teri yaadon mein kho kar bhul jata hun

ajab din the ki barson zarb-e-KHushbu yaad rahti thi

ajab din hain ki fauran zaKHm-e-KHanjar bhul jata hun

guzar jata hun ghar ke samne se be-KHayali mein

kabhi daftar ke darwaze pe daftar bhul jata hun

isi bais baDi chahat se milta hun ki main akasr

juda hote hi chehra nam paikar bhul jata hun

mujhe patthar ki surat hi sahi zinda to rahna hai

so main har waqia manzar-ba-manzar bhul jata hun

wo sab kuchh yaad rakhta hun bhulana jis ka behtar ho

magar jo yaad rakhna ho sarasar bhul jata hun

(986) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dayar-e-hijr Mein KHud Ko To Akasr Bhul Jata Hun In English By Famous Poet Aslam Kolsarii. Dayar-e-hijr Mein KHud Ko To Akasr Bhul Jata Hun is written by Aslam Kolsarii. Read famous Poem Dayar-e-hijr Mein KHud Ko To Akasr Bhul Jata Hun for youth and Student by Aslam Kolsarii. Free Download Dayar-e-hijr Mein KHud Ko To Akasr Bhul Jata Hun in PDF.