Dil-e-pur-KHun Ko Yaadon Se Ulajhta ChhoD Dete Hain

dil-e-pur-KHun ko yaadon se ulajhta chhoD dete hain

hum is wahshi ko jangal mein akela chhoD dete hain

na jaane kab koi bhige hue manzar mein aa nikle

dayar-e-ashk mein palken jhapakna chhoD dete hain

use bhi dekhna hai apna mear-e-pazirai

chala aae to kya kahna taqaza chhoD dete hain

ghamon ki bhiD jab bhi qarya-e-jaan ki taraf aae

bilakte KHwab KHamoshi se rasta chhoD dete hain

kisi ki yaad se dil ko munawwar tak nahin karna

isi ka nam duniya hai to duniya chhoD dete hain

hamein KHushbu ki surat dasht-e-hasti se guzarna tha

achanak yun hua lekin ye qissa chhoD dete hain

zara se ashk mein chhup kar un aankhon mein nahin rahna

chalo 'aslam' hami ku-e-tamanna chhoD dete hain

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-pur-KHun Ko Yaadon Se Ulajhta ChhoD Dete Hain In English By Famous Poet Aslam Kolsarii. Dil-e-pur-KHun Ko Yaadon Se Ulajhta ChhoD Dete Hain is written by Aslam Kolsarii. Read famous Poem Dil-e-pur-KHun Ko Yaadon Se Ulajhta ChhoD Dete Hain for youth and Student by Aslam Kolsarii. Free Download Dil-e-pur-KHun Ko Yaadon Se Ulajhta ChhoD Dete Hain in PDF.