Zalzale Ka KHauf Tari Hai Dar-o-diwar Par

zalzale ka KHauf tari hai dar-o-diwar par

jabki main baiTha hua hun kanpte minar par

han isi raste mein hai shahr-e-nigar-e-arzu

aap chalte jaiye mere lahu ki dhaar par

phir uDa lai hawa mujh ko jalane ke liye

zard patte chand sukhi Tahniyan do-chaar par

tair-e-taKHil ka sara badan aazad hai

sirf ek patthar paDa hai shisha-e-minqar par

waqt ka dariya to in aankhon se Takraata raha

apne hisse mein na aaya lamha-e-didar par

sara pani chhagalon se aablon mein aa gaya

chilchilati dhup ke jalte hue israr par

(1264) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zalzale Ka KHauf Tari Hai Dar-o-diwar Par In English By Famous Poet Aslam Kolsarii. Zalzale Ka KHauf Tari Hai Dar-o-diwar Par is written by Aslam Kolsarii. Read famous Poem Zalzale Ka KHauf Tari Hai Dar-o-diwar Par for youth and Student by Aslam Kolsarii. Free Download Zalzale Ka KHauf Tari Hai Dar-o-diwar Par in PDF.