Dasht Marub Hai Kitna Meri Virani Se

dasht marub hai kitna meri virani se

munh taka karta hai har dam mera hairani se

log dariyaon pe kyun jaan diye dete hain

tishnagi ka to talluq hi nahin pani se

ab kisi bhaw nahin milta KHaridar koi

gir gai hai meri qimat meri arzani se

KHud pe sau jabr kiye dil ko bahut samjhaya

ras aai kahan duniya hamein aasani se

ab ye samjhe ki andhera bhi zaruri shai hai

bujh gain aankhen ujalon ki farawani se

ajnabi aahaTen anjaan sadaen mujh mein

main to baz aaya KHarabe ki nigahbani se

aa gaya kaun ye aaj us ke muqabil 'aslam'

aaina TuT gaya aks ki tabani se

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht Marub Hai Kitna Meri Virani Se In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Dasht Marub Hai Kitna Meri Virani Se is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Dasht Marub Hai Kitna Meri Virani Se for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Dasht Marub Hai Kitna Meri Virani Se in PDF.