Dekh Ke Arzan Lahu SurKHi-e-manzar KHamosh

dekh ke arzan lahu surKHi-e-manzar KHamosh

bazi-e-jaan par meri tegh bhi shashdar KHamosh

aks mera muntashir aur ye aalam ki hai

ek ek aaina chup ek ek patthar KHamosh

tegh-e-nafas ko bahut naz tha raftar par

ho gai aaKHir mere KHun mein naha kar KHamosh

arsa-e-hairat mein gum aaina-KHane mere

KHema-e-mizhgan mein hain KHwab ke paikar KHamosh

KHauf se sab dam-ba-KHud fikr se chehre udas

mauj-e-hawa kyun hai chup kyun hai samundar KHamosh

koi alamat to ho koi nishan to mile

kyun hai lahu be-sada ho gae kyun sar KHamosh

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Ke Arzan Lahu SurKHi-e-manzar KHamosh In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Dekh Ke Arzan Lahu SurKHi-e-manzar KHamosh is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Dekh Ke Arzan Lahu SurKHi-e-manzar KHamosh for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Dekh Ke Arzan Lahu SurKHi-e-manzar KHamosh in PDF.