Na Malal-e-hijr Na Muntazir Hain Hawa-e-sham-e-visal Ke

na malal-e-hijr na muntazir hain hawa-e-sham-e-visal ke

hum asir apni hi zat ke kisi KHwab ke na KHayal ke

mere shauq-e-sair-o-safar ko ab nae ek jahan ki numud kar

tere bahr o bar ko to rakh diya hai kabhi ka main ne khangal ke

wo hamin the jin ke kamal ki hai ye kaenat bhi mo'tarif

wahi hum ki aaj tamash-bin hue KHud hi apne zawal ke

jo nawah-e-jaan mein muqim hain unhin mausamon ka tilism hai

kabhi jam uchhaale nashat ke kabhi rang uDae malal ke

wahi subh o sham ke marhale wahi KHal o aab ke silsile

wahi qisse nan-o-namak ke hain wahi jhagDe mal-o-manal ke

tera aaina hun main zindagi tere aks ka main amin hun

hai meri shikast tera ziyan mujhe rakh bacha ke sambhaal ke

mere kar-zar-e-hayat mein na koi najib na kam-nasab

yahan nam sirf hunar ka hai yahan charche bas hain kamal ke

nahin gardishon mein jo waqt ki ho ata wo saat-e-mawara

na to ibtida ho na intiha na hon silsile mah o sal ke

(1381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Malal-e-hijr Na Muntazir Hain Hawa-e-sham-e-visal Ke In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Na Malal-e-hijr Na Muntazir Hain Hawa-e-sham-e-visal Ke is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Na Malal-e-hijr Na Muntazir Hain Hawa-e-sham-e-visal Ke for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Na Malal-e-hijr Na Muntazir Hain Hawa-e-sham-e-visal Ke in PDF.