Mizha Pe KHwab Nahin Intizar Sa Kuchh Hai

mizha pe KHwab nahin intizar sa kuchh hai

bahaar to nahin aks-e-bahaar sa kuchh hai

mujhe mila na kabhi farsh-e-gul pe bhi aaram

yahi laga ki kahin nok-e-KHar sa kuchh hai

jo pas tha isi sauda-e-sar ki nazr hua

na dhajjiyan hi bachi hain na tar sa kuchh hai

tamam umr jise main ubur kar na saka

darun-e-zat mere be-kanar sa kuchh hai

guzar gai mujhe chhu kar kisi KHayal ki rau

ufuq se ta-ba-ufuq rang-zar sa kuchh hai

KHayal-o-KHwab hue sab visal ke lamhe

nazar mein sirf chamakta ghubar sa kuchh hai

ye haal hai ki hawaon se uljha jata hun

lahu mein ab ke ajab intishaar sa kuchh hai

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mizha Pe KHwab Nahin Intizar Sa Kuchh Hai In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Mizha Pe KHwab Nahin Intizar Sa Kuchh Hai is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Mizha Pe KHwab Nahin Intizar Sa Kuchh Hai for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Mizha Pe KHwab Nahin Intizar Sa Kuchh Hai in PDF.