Rang Sare Apne Andar Raftagan Ke Hain

rang sare apne andar raftagan ke hain

hum ki barg-e-raegan naKHl-e-ziyan ke hain

shisha-e-umr-e-rawan se KHauf aata hai

aks is mein saat-e-kam-mehrban ke hain

hum ko kya la-hasili hi ishq mein gar hai

hum to KHugar yun bhi kar-e-raegan ke hain

tere kuche ki hawa puchhe hai ab hum se

nam kya hai kya nasab hai hum kahan ke hain

hum ko kya arz o sama ke sab KHazanon se

hum to aashiq ek ism-e-jawedan ke hain

mere partaw ne tilism-e-tirgi toDa

aur ab raushan manazir KHak-dan ke hain

hum ko kya mauj-e-fana se KHauf aaega

muntazir hum KHud zawal-e-rang-e-jaan ke hain

imtihan ye saKHtiyan ye gardishen 'aslam'

sab ishaare ek chashm-e-mehrban ke hain

(925) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang Sare Apne Andar Raftagan Ke Hain In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Rang Sare Apne Andar Raftagan Ke Hain is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Rang Sare Apne Andar Raftagan Ke Hain for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Rang Sare Apne Andar Raftagan Ke Hain in PDF.