Raat Aati Hai To Taqon Mein Jalate Hain Charagh

raat aati hai to taqon mein jalate hain charagh

KHwab zinda hain so aankhon mein jalate hain charagh

aandhiyan ab hamein mahsur kiye baiThi hain

ab to hum sirf KHayalon mein jalate hain charagh

Thokaren khate hue umr kaTi apni so hum

dusron ke liye rahon mein jalate hain charagh

tanz karta hua guzra tha hawa ka jhonka

tab se hum tez hawaon mein jalate hain charagh

tishna-lab aaenge dariyaon ke Thukrae hue

isi bais to sarabon mein jalate hain charagh

KHwab bikhre hain hamare yahan har gam so hum

sham hote hi KHarabon mein jalate hain charagh

(781) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Raat Aati Hai To Taqon Mein Jalate Hain Charagh In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Raat Aati Hai To Taqon Mein Jalate Hain Charagh is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Raat Aati Hai To Taqon Mein Jalate Hain Charagh for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Raat Aati Hai To Taqon Mein Jalate Hain Charagh in PDF.