Pattharon Par Wadiyon Mein Naqsh-e-pa Mera Bhi Hai

pattharon par wadiyon mein naqsh-e-pa mera bhi hai

raston se manzilon tak silsila mera bhi hai

panw us ke bhi nahin uThte mere ghar ki taraf

aur ab ke rasta badla hua mera bhi hai

habs ke aalam mein bhi zinda hun teri aas par

ai hawa-e-taza darwaza khula mera bhi hai

baadalon se ai zamin tu hi nahin hai na-umid

raegan sa ab ke kuchh harf-e-dua mera bhi hai

be-basarat shahr mein be-chehragi ke darmiyan

ek diya jalta hua ek aaina mera bhi hai

dekhta hun main bhi sab ke sath duniya ko magar

ek alag zauq-e-nazar ek zawiya mera bhi hai

tirgi mein aaj agar main hun to ho sakta hai kal

dastaras mein chand ho aaKHir KHuda mera bhi hai

(1485) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pattharon Par Wadiyon Mein Naqsh-e-pa Mera Bhi Hai In English By Famous Poet Aslam Mahmood. Pattharon Par Wadiyon Mein Naqsh-e-pa Mera Bhi Hai is written by Aslam Mahmood. Read famous Poem Pattharon Par Wadiyon Mein Naqsh-e-pa Mera Bhi Hai for youth and Student by Aslam Mahmood. Free Download Pattharon Par Wadiyon Mein Naqsh-e-pa Mera Bhi Hai in PDF.