Sukh Jata Hai Har Shajar Mujh Mein

sukh jata hai har shajar mujh mein

kuchh duaen hain be-asar mujh mein

jaanta hi nahin hun main us ko

wo jo aane laga nazar mujh mein

dhup mein dekh kar parindon ko

ugne lagta hai ek shajar mujh mein

panw ab puchhne lage mujh se

main safar mein hun ya safar mujh mein

aaina dekh kar laga mujh ko

main nazar mein hun ya nazar mujh mein

dard mein Dub hi gai aawaz

hijr ne ab kiya asar mujh mein

(661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukh Jata Hai Har Shajar Mujh Mein In English By Famous Poet Aslam Rashid. Sukh Jata Hai Har Shajar Mujh Mein is written by Aslam Rashid. Read famous Poem Sukh Jata Hai Har Shajar Mujh Mein for youth and Student by Aslam Rashid. Free Download Sukh Jata Hai Har Shajar Mujh Mein in PDF.