Sun Kar Kitni Aankhen Niklin

sun kar kitni aankhen niklin

ek patthar mein sansen niklin

aankhon se ek dariya nikla

dariya se kuchh lashen niklin

gham ke bhi kuchh phul khile hain

zaKHmon se bhi shaKHen niklin

aage aage naKHun aae

pichhe pichhe banhen niklin

jis ko khoya tha aankhon ne

us ko lene yaaden niklin

kanTon ne kyun jashn manaya

phulon se kyun aahen niklin

un galiyon mein rah kar dekha

din se raushan raaten niklin

(629) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Sun Kar Kitni Aankhen Niklin In English By Famous Poet Aslam Rashid. Sun Kar Kitni Aankhen Niklin is written by Aslam Rashid. Read famous Poem Sun Kar Kitni Aankhen Niklin for youth and Student by Aslam Rashid. Free Download Sun Kar Kitni Aankhen Niklin in PDF.