Dard Ki Jot Mere Dil Mein Jagane Wale

dard ki jot mere dil mein jagane wale

rose paigham naya de ke rulane wale

kaise likh dun main tere nam fasana koi

beach manjdhaar mein kushti ko Dubane wale

na koi aks na zangar raha mere liye

ruh ke shishe ko shaffaf banane wale

kya nahin likkha nigahon ko rahin-e-jalwa

apni tahrir se taqdir sajaane wale

misl-e-parwana taDapne ke liye chhoD diya

sham-e-gumnam se jazbon ko jalane wale

kisi tabir ko takmil to pa jaane de

KHwab har rose naya mujh ko dikhane wale

azm-e-mohkam liye main pesh nazar aai hun

tir alfaz ka be-KHauf chalane wale

waqt ab bhi hai sambhal jao ye duniya hai fareb

pyar ke Dhong mein logon ko phansane wale

waqt ab dur nahin hai ki uThe shor-e-ghazab

gham ke sailab mein duniya ko bahane wale

(1406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Ki Jot Mere Dil Mein Jagane Wale In English By Famous Poet Asra Rizvi. Dard Ki Jot Mere Dil Mein Jagane Wale is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Dard Ki Jot Mere Dil Mein Jagane Wale for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Dard Ki Jot Mere Dil Mein Jagane Wale in PDF.