Be-sabab KHauf Se Dil Mera Larazta Kyun Hai

be-sabab KHauf se dil mera larazta kyun hai

baat-be-baat yunhi KHud se ulajhta kyun hai

shor aise na kare bazm mein KHamosh rahe

ek tawatur se KHuda jaane dhaDakta kyun hai

mom ka ho ke bhi patthar ka bana rahta tha

ab ye jazbaat ki hiddat se pighalta kyun hai

hijr ke jitne bhi mausam the wo kaTe hans kar

phir sar-e-sham hi yaadon mein sisakta kyun hai

us ke hone se main inkar karun to kaise

aks us ka meri aankhon mein jhalakta kyun hai

jab bhi KHamoshi se tanhai mein baiThi ja kar

karb sa us ki rifaqat ka chhalakta kyun hai

phuT jae ye kisi taur koi Thes lage

ban ke phoDa sa wo ab dil mein Tapakta kyun hai

jo muqaddar mein likha tha wo hua hai 'asra'

KHwab ki baaton se is tarah machalta kyun hai

(1146) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-sabab KHauf Se Dil Mera Larazta Kyun Hai In English By Famous Poet Asra Rizvi. Be-sabab KHauf Se Dil Mera Larazta Kyun Hai is written by Asra Rizvi. Read famous Poem Be-sabab KHauf Se Dil Mera Larazta Kyun Hai for youth and Student by Asra Rizvi. Free Download Be-sabab KHauf Se Dil Mera Larazta Kyun Hai in PDF.